idhar  aa  kar  shikār-afgan  hamārā
mushabbak  kar  gayā  hai  tan  hamārā
garebāñ  se  rahā  kotah  to  phir  hai
hamāre  haath  meñ  dāman  hamārā
ga.e  joñ  sham.a  us  majlis  meñ  jitne
sabhoñ  par  haal  hai  raushan  hamārā
balā  jis  chashm  ko  kahte  haiñ  mardum
vo  hai  ain-e-balā  maskan  hamārā
huā  rone  se  rāz-e-dostī  faash
hamārā  girya  thā  dushman  hamārā
bahut  chāhā  thā  abr-e-tar  ne  lekin
na  minnat-kash  huā  gulshan  hamārā
chaman  meñ  ham  bhī  zanjīrī  rahe  haiñ
sunā  hogā  kabhū  shevan  hamārā
kiyā  thā  reḳhta  parda-suḳhan  kā
so  Thahrā  hai  yahī  ab  fan  hamārā
na  bahke  mai-kade  meñ  'mīr'  kyūñkar
giro  sau  jā  hai  pairāhan  hamārā