faqīrāna  aa.e  sadā  kar  chale
ki  myaañ  ḳhush  raho  ham  duā  kar  chale
jo  tujh  bin  na  jiine  ko  kahte  the  ham
so  is  ahd  ko  ab  vafā  kar  chale
shifā  apnī  taqdīr  hī  meñ  na  thī
ki  maqdūr  tak  to  davā  kar  chale
paḌe  aise  asbāb  pāyān-e-kār
ki  nā-chār  yuuñ  jī  jalā  kar  chale
vo  kyā  chiiz  hai  aah  jis  ke  liye
har  ik  chiiz  se  dil  uThā  kar  chale
koī  nā-umīdāna  karte  nigāh
so  tum  ham  se  muñh  bhī  chhupā  kar  chale
bahut  aarzū  thī  galī  kī  tirī
so  yaañ  se  lahū  meñ  nahā  kar  chale
dikhā.ī  diye  yuuñ  ki  be-ḳhud  kiyā
hameñ  aap  se  bhī  judā  kar  chale
jabīñ  sajda  karte  hī  karte  ga.ī
haq-e-bandagī  ham  adā  kar  chale
parastish  kī  yaañ  tak  ki  ai  but  tujhe
nazar  meñ  sabhoñ  kī  ḳhudā  kar  chale
jhaḌe  phuul  jis  rañg  gulbun  se  yuuñ
chaman  meñ  jahāñ  ke  ham  aa  kar  chale
na  dekhā  ġham-e-dostāñ  shukr  hai
hamīñ  daaġh  apnā  dikhā  kar  chale
ga.ī  umr  dar-band-e-fikr-e-ġhazal
so  is  fan  ko  aisā  baḌā  kar  chale
kaheñ  kyā  jo  pūchhe  koī  ham  se  'mīr'
jahāñ  meñ  tum  aa.e  the  kyā  kar  chale