paa.e  ḳhitāb  kyā  kyā  dekhe  itaab  kyā  kyā
dil  ko  lagā  ke  ham  ne  khīñche  azaab  kyā  kyā
kaaTe  haiñ  ḳhaak  uḌā  kar  joñ  gard-bād  barsoñ
galiyoñ  meñ  ham  hue  haiñ  us  bin  ḳharāb  kyā  kyā
kuchh  gul  se  haiñ  shagufta  kuchh  sarv  se  haiñ  qad-kash
us  ke  ḳhayāl  meñ  ham  dekhe  haiñ  ḳhvāb  kyā  kyā
ānvā-e-jurm  mere  phir  be-shumār-o-be-had
roz-e-hisāb  leñge  mujh  se  hisāb  kyā  kyā
ik  aag  lag  rahī  hai  sīnoñ  meñ  kuchh  na  pūchho
jal  jal  ke  ham  hue  haiñ  us  bin  kabāb  kyā  kyā
ifrāt-e-shauq  meñ  to  rūyat  rahī  na  mutlaq
kahte  haiñ  mere  muñh  par  ab  shaiḳh-o-shāb  kyā  kyā
phir  phir  gayā  hai  aa  kar  muñh  tak  jigar  hamāre
guzre  haiñ  jān-o-dil  par  yaañ  iztirāb  kyā  kyā
āshufta  us  ke  gesū  jab  se  hue  haiñ  muñh  par
tab  se  hamāre  dil  ko  hai  pech-o-tāb  kyā  kyā
kuchh  sūjhtā  nahīñ  hai  mastī  meñ  'mīr'-jī  ko
karte  haiñ  poch-goī  pī  kar  sharāb  kyā  kyā