kis  husn  se  kahūñ  maiñ  us  kī  ḳhush-aḳhtarī  kī
is  māh-rū  ke  aage  kyā  taab  mushtarī  kī
rakhnā  na  thā  qadam  yaañ  juuñ  baad  be-tāmmul
sair  is  jahāñ  kī  rahrav  par  tū  ne  sarsarī  kī
shub.hā  bahāl  sag  meñ  ik  umr  sirf  kī  hai
mat  pūchh  in  ne  mujh  se  jo  ādmī-garī  kī
paa.e  gul  us  chaman  meñ  chhoḌā  gayā  na  ham  se
sar  par  hamāre  ab  ke  mannat  hai  be-parī  kī
pesha  to  ek  hī  thā  us  kā  hamārā  lekin
majnūñ  ke  tāle.oñ  ne  shohrat  meñ  yāvarī  kī
girye  se  dāġh-e-sīna  taaza  hue  haiñ  saare
ye  kisht-e-ḳhushk  tū  ne  ai  chashm  phir  harī  kī
ye  daur  to  muāfiq  hotā  nahīñ  magar  ab
rakhiye  binā-e-tāza  is  charḳh-e-chambarī  kī
ḳhūbāñ  tumhārī  ḳhūbī  tā-chand  naql  kariye
ham  rañja-ḳhātiroñ  kī  kyā  ḳhuub  dilbarī  kī
ham  se  jo  'mīr'  uḌ  kar  aflāk-e-charḳh  meñ  haiñ
un  ḳhaak  meñ  malūñ  kī  kaahe  ko  hamsarī  kī