dil  ga.e  aafat  aa.ī  jānoñ  par
ye  fasāna  rahā  zabānoñ  par
ishq  meñ  hosh  o  sabr  sunte  the
rakh  ga.e  haath  so  to  kānoñ  par
garche  insān  haiñ  zamīñ  se  vale
haiñ  dimāġh  un  ke  āsmānoñ  par
shahr  ke  shoḳh  sāda-rū  laḌke
zulm  karte  haiñ  kyā  javānoñ  par
arsh  o  dil  donoñ  kā  hai  paaya  buland
sair  rahtī  hai  un  makānoñ  par
jab  se  bāzār  meñ  hai  tujh  sī  matā
bhiiḌ  hī  rahtī  hai  dukānoñ  par
log  sar  dene  jaate  haiñ  kab  se
yaar  ke  paañv  ke  nishānoñ  par
kajī  obāsh  kī  hai  vo  dar-band
Daale  phirtā  hai  band  shānoñ  par
koī  bolā  na  qatl  meñ  mere
mohr  kī  thī  magar  dahānoñ  par
yaad  meñ  us  ke  sāq-e-sīmīñ  kī
de  de  mārūñ  huuñ  haath  rānoñ  par
the  zamāne  meñ  ḳharchī  jin  kī  ruupe
phāñsā  karte  haiñ  un  ko  aanoñ  par
ġham  o  ġhussa  hai  hisse  meñ  mere
ab  ma.īshat  hai  un  hī  khānoñ  par
qisse  duniyā  meñ  'mīr'  bahut  sune
na  rakho  gosh  un  fasānoñ  par