phir  us  se  tarah  kuchh  jo  da.ave  kī  sī  Daalī  hai
kyā  taaza  koī  gul  ne  ab  shāḳh  nikālī  hai
sach  pūchho  to  kab  haigā  us  kā  sā  dahan  ġhuncha
taskīñ  ke  liye  ham  ne  ik  baat  banā  lī  hai
dehī  ko  na  kuchh  pūchho  ik  bharat  kā  hai  gaḌvā
tarkīb  se  kyā  kahiye  sāñche  meñ  kī  Dhālī  hai
ham  qadd-ḳhamīda  se  āġhosh  hue  saare
par  fā.eda  tujh  se  to  āġhosh  vo  ḳhālī  hai
izzat  kī  koī  sūrat  dikhlā.ī  nahīñ  detī
chup  rahiye  to  chashmak  hai  kuchh  kahiye  to  gaalī  hai
do-gām  ke  chalne  meñ  pāmāl  huā  aalam
kuchh  saarī  ḳhudā.ī  se  vo  chaal  nirālī  hai
haigī  to  do  saala  par  hai  duḳhtar-e-raz  aafat
kyā  pīr-e-muġhāñ  ne  bhī  ik  chhokrī  paalī  hai
ḳhūñ-rezī  meñ  ham  soñ  kī  jo  ḳhaak  barābar  haiñ
kab  sar  to  faro  laayā  himmat  tirī  aalī  hai
jab  sar  chaḌhe  hoñ  aise  tab  ishq  kareñ  so  bhī
juuñ  tuuñ  ye  balā  sar  se  farhād  ne  Taalī  hai
in  muġhbachoñ  meñ  zāhid  phir  sar  zada  mat  aanā
mindīl  tirī  ab  ke  ham  ne  to  bachā  lī  hai
kyā  'mīr'  tū  rotā  hai  pāmālī-e-dil  hī  ko
un  louñDoñ  ne  to  dillī  sab  sar  pe  uThā  lī  hai