ab  āñkhoñ  meñ  ḳhuuñ  dam-ba-dam  dekhte  haiñ
na  pūchho  jo  kuchh  rañg  ham  dekhte  haiñ
jo  be-aḳhtyārī  yahī  hai  to  qāsid
hamīñ  aa  ke  us  ke  qadam  dekhte  haiñ
gahe  daaġh  rahtā  hai  dil  gā  jigar  ḳhuuñ
un  āñkhoñ  se  kyā  kyā  sitam  dekhte  haiñ
agar  jaan  āñkhoñ  meñ  us  bin  hai  to  ham
abhī  aur  bhī  koī  dam  dekhte  haiñ
likheñ  haal  kyā  us  ko  hairat  se  ham  to
gahe  kāġhaz  o  gah  qalam  dekhte  haiñ
vafā-peshgī  qais  tak  thī  bhī  kuchh  kuchh
ab  us  taur  ke  log  kam  dekhte  haiñ
kahāñ  tak  bhalā  ro.o.ge  'mīr'-sāhib
ab  āñkhoñ  ke  gird  ik  varam  dekhte  haiñ