pal  meñ  jahāñ  ko  dekhte  mere  Dubo  chukā
ik  vaqt  meñ  ye  diida  bhī  tūfān  ro  chukā
afsos  mere  murde  par  itnā  na  kar  ki  ab
pachhtānā  yuuñ  hī  sā  hai  jo  honā  thā  ho  chukā
lagtī  nahīñ  palak  se  palak  intizār  meñ
āñkheñ  agar  yahī  haiñ  to  bhar  niiñd  so  chukā
yak  chashmak-e-pyāla  hai  saaqī  bahār-e-umr
jhapkī  lagī  ki  duur  ye  āḳhir  hī  ho  chukā
mumkin  nahīñ  ki  gul  kare  vaisī  shaguftagī
us  sarzamīñ  meñ  tuḳhm-e-mohabbat  maiñ  bo  chukā
paayā  na  dil  bahāyā  huā  sail-e-ashk  kā
maiñ  panja-e-mizha  se  samundar  bilo  chukā
har  sub.h  hādse  se  ye  kahtā  hai  āsmāñ
de  jām-e-ḳhūn  'mīr'  ko  gar  muñh  vo  dho  chukā