dil  ishq  kā  hamesha  harīf-e-nabard  thā
ab  jis  jagah  ki  daaġh  hai  yaañ  aage  dard  thā
ik  gard-e-rāh  thā  pai-e-mahmil  tamām  raah
kis  kā  ġhubār  thā  ki  ye  dumbāla  gard  thā
dil  kī  shikastagī  ne  Darā.e  rakhā  hameñ
vaañ  chiiñ  jabīñ  par  aa.ī  ki  yaañ  rañg  zard  thā
mānind-e-harf  safha-e-hastī  se  uTh  gayā
dil  bhī  mirā  jarīda-e-ālam  meñ  fard  thā
thā  pushta  reg-e-bād  ye  ik  vaqt  kārvāñ
ye  gard-bād  koī  bayābāñ  navard  thā
guzrī  mudām  us  kī  javānān-e-mast  meñ
pīr-e-muġhāñ  bhī  turfa  koī  piir  mard  thā
āshiq  haiñ  ham  to  'mīr'  ke  bhī  zabt-e-ishq  ke
dil  jal  gayā  thā  aur  nafas  lab  pe  sard  thā