kuchh  karo  fikr  mujh  dīvāne  kī
dhuum  hai  phir  bahār  aane  kī
dil  kā  us  kunj-e-lab  se  de  hai  nishāñ
baat  lagtī  to  hai  Thikāne  kī
vo  jo  phirtā  hai  mujh  se  duur  hī  duur
hai  ye  taqrīb  jī  ke  jaane  kī
tez  yuuñ  hī  na  thī  shab  ātish-e-shauq
thī  ḳhabar  garm  us  ke  aane  kī
ḳhizr  us  ḳhatt-e-sabz  par  to  muā
dhun  hai  ab  apne  zahr  khāne  kī
dil-e-sad-chāk  bāb-e-zulf  hai  lek
baav  sī  bañdh  rahī  hai  shāne  kī
kisū  kam-zarf  ne  lagā.ī  aah
tujh  se  mai-ḳhāne  ke  jalāne  kī
varna  ai  shaiḳh-e-shahr  vājib  thī
jām-dārī  sharāb-ḳhāne  kī
jo  hai  so  pā.emāl-e-ġham  hai  'mīr'
chaal  be-Dol  hai  zamāne  kī