jo  dekho  mire  sher-e-tar  kī  taraf
to  maa.il  na  ho  phir  guhar  kī  taraf
koī  dād-e-dil  aah  kis  se  kare
har  ik  hai  so  us  fitna-gar  kī  taraf
mohabbat  ne  shāyad  ki  dī  dil  ko  aag
dhuāñ  sā  hai  kuchh  is  nagar  kī  taraf
lagīñ  haiñ  hazāroñ  hī  āñkheñ  udhar
ik  āshob  hai  us  ke  ghar  kī  taraf
bahut  rañg  miltā  hai  dekho  kabhū
hamārī  taraf  se  sahar  kī  taraf
ba-ḳhud  kis  ko  us  tāb-e-ruḳh  ne  rakhā
kare  kaun  shams-o-qamar  kī  taraf
na  samjhā  gayā  abr  kyā  dekh  kar
huā  thā  mirī  chashm-e-tar  kī  taraf
Tapaktā  hai  palkoñ  se  ḳhuuñ  muttasil
nahīñ  dekhte  ham  jigar  kī  taraf
munāsib  nahīñ  hāl-e-āshiq  se  sabr
rakhe  hai  ye  daarū  zarar  kī  taraf
kise  manzil-e-dilkash-e-dahr  meñ
nahīñ  miil  ḳhātir  safar  kī  taraf
rag-e-jāñ  kab  aatī  hai  āñkhoñ  meñ  'mīr'
ga.e  haiñ  mizāj  us  kamar  kī  taraf