shauq  hai  to  hai  us  kā  ghar  nazdīk
dūrī-e-rah  hai  rāhbar  nazdīk
aah  karne  meñ  dam  ko  sādhe  rah
kahte  haiñ  dil  se  hai  jigar  nazdīk
duur  vāloñ  ko  bhī  na  pahuñche  ham
yahī  na  tum  se  haiñ  magar  nazdīk
Dūbeñ  dariyā-o-koh-o-shahr-o-dasht
tujh  se  sab  kuchh  hai  chashm-e-tar  nazdīk
harf  duurī  hai  garche  inshā  lek
diijo  ḳhat  jā  ke  nāma-bar  nazdīk
duur  ab  baiThte  haiñ  majlis  meñ
ham  jo  tum  se  the  beshtar  nazdīk
ḳhabar  aatī  hai  so  bhī  duur  se  yaañ
aao  yak-bār  be-ḳhabar  nazdīk
tosha-e-āḳhirat  kā  fikr  rahe
jī  se  jaane  kā  hai  safar  nazdīk
daur  phirne  kā  ham  se  vaqt  gayā
pūchh  kuchh  haal  baiTh  kar  nazdīk
mar  bhī  rah  'mīr'  shab  bahut  royā
hai  mirī  jaan  ab  sahar  nazdīk