Meer Taqi Meer

sitam se go ye tere kushta-e-wafa na raha

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810

sitam se go ye tire kushta-e-vafā na rahā

rahe jahān meñ to dair meñ rahā na rahā

kab us naam liye ġhash na aa gayā mujh ko

dil-e-sitam-zada kis vaqt us meñ na rahā

milānā aañkh har-dam fareb thā dekhā

phir ek dam meñ vo be-dīd āshnā na rahā

muue to ham pe dil par ko ḳhuub ḳhālī kar

hazār shukr kaso se hameñ gila na rahā

udhar khulī mirī chhātī idhar namak chhiḌkā

jarāhat us ko dikhāne ab maza na rahā

huā huuñ tañg bahut koī din meñ sin liijo

ki se haath uThā kar vo uTh gayā na rahā

sitam us ke bahut maiñ nazār huuñ mamnūn

jigar tamām huā ḳhūn-o-dil bajā na rahā

agarche rah ga.e the ustuḳhvān-o-post vale

lagā.ī aisī ki tasma bhī phir lagā na rahā

hamīyat us ke ta.iiñ kahte haiñ jo 'mīr' meñ thī

gayā jahāñ se pe terī galī maiñ aa na rahā

Top Urdushayar.com