āvegī  merī  qabr  se  āvāz  mere  ba.ad
ubhreñge  ishq-e-dil  se  tire  raaz  mere  ba.ad
jiinā  mirā  to  tujh  ko  ġhanīmat  hai  nā-samajh
khīñgā  kaun  phir  ye  tire  naaz  mere  ba.ad
sham-e-mazār  aur  ye  soz-e-jigar  mirā
har  shab  kareñge  zindagī  nā-sāz  mere  ba.ad
hasrat  hai  is  ke  dekhne  kī  dil  meñ  be-qayās
aġhlab  ki  merī  āñkheñ  raheñ  baaz  mere  ba.ad
kartā  huuñ  maiñ  jo  naale  sar-anjām  baaġh  meñ
muñh  dekho  phir  kareñge  ham  āvāz  mere  ba.ad
bin  gul  muā  hī  maiñ  to  pa  tū  jā  ke  lauTiyo
sehn-e-chaman  meñ  ai  par-e-parvāz  mere  ba.ad
baiThā  huuñ  'mīr'  marne  ko  apne  meñ  musta.id
paidā  na  hoñge  mujh  se  bhī  jāñbāz  mere  ba.ad