kahte  ho  ittihād  hai  ham  ko
haañ  kaho  e'timād  hai  ham  ko
shauq  hī  shauq  hai  nahīñ  mālūm
is  se  kyā  dil  nihād  hai  ham  ko
ḳhat  se  nikle  hai  bevafā.i-e-husn
is  qadar  to  savād  hai  ham  ko
aah  kis  Dhab  se  roiye  kam  kam
shauq  had  se  ziyād  hai  ham  ko
shaiḳh  o  pīr-e-muġhāñ  kī  ḳhidmat  meñ
dil  se  ik  e'tiqād  hai  ham  ko
sādgī  dekh  ishq  meñ  us  ke
ḳhvāhish-e-jān  shaad  hai  ham  ko
bad-gumānī  hai  jis  se  tis  se  aah
qasd-e-shor-o-fasād  hai  ham  ko
dostī  ek  se  bhī  tujh  ko  nahīñ
aur  sab  se  inaad  hai  ham  ko
nā-murādāna  ziist  kartā  thā
'mīr'  kā  taur  yaad  hai  ham  ko