raftagāñ  meñ  jahāñ  ke  ham  bhī  haiñ
saath  us  kārvāñ  ke  ham  bhī  haiñ
sham.a  hī  sar  na  de  ga.ī  barbād
kushta  apnī  zabāñ  ke  ham  bhī  haiñ
ham  ko  majnūñ  ko  ishq  meñ  mat  buujh
nañg  us  ḳhāndāñ  ke  ham  bhī  haiñ
jis  chaman-zār  kā  hai  tū  gul-e-tar
bulbul  is  gulsitāñ  ke  ham  bhī  haiñ
nahīñ  majnūñ  se  dil  qavī  lekin
yaar  us  nā-tavāñ  ke  ham  bhī  haiñ
bosa  mat  de  kisū  ke  dar  pe  nasīm
ḳhaak  us  āstāñ  ke  ham  bhī  haiñ
go  shab  us  dar  se  duur  pahroñ  phireñ
paas  to  pāsbāñ  ke  ham  bhī  haiñ
vaj.h-e-begānagī  nahīñ  mālūm
tum  jahāñ  ke  ho  vaañ  ke  ham  bhī  haiñ
mar  ga.e  mar  ga.e  nahīñ  to  nahīñ
ḳhaak  se  muñh  ko  Dhāñke  ham  bhī  haiñ
apnā  sheva  nahīñ  kajī  yuuñ  to
yaar  jī  TeḌhe  bāñke  ham  bhī  haiñ
is  sire  kī  hai  pārsā.ī  'mīr'
mo'taqid  us  javāñ  ke  ham  bhī  haiñ