mujh  sā  betāb  hove  jab  koī
be-qarārī  ko  jaane  tab  koī
haañ  ḳhudā  maġhfirat  kare  us  ko
sabr  marhūm  thā  ajab  koī
jaan  de  go  masīh  par  us  se
baat  kahte  haiñ  tere  lab  koī
ba.ad  mere  hī  ho  gayā  sunsān
sone  paayā  thā  varna  kab  koī
us  ke  kūche  meñ  hashr  the  mujh  tak
āh-o-nāla  kare  na  ab  koī
ek  ġham  meñ  huuñ  maiñ  hī  aalam  meñ
yuuñ  to  shādāñ  hai  aur  sab  koī
nā-samajh  yuuñ  ḳhafā  bhī  hotā  hai
mujh  se  muḳhlis  se  be-sabab  koī
aur  mahzūñ  bhī  ham  sune  the  vale
'mīr'  sā  ho  sake  hai  kab  koī
ki  talaffuz  tarab  kā  sun  ke  kahe
shaḳhs  hogā  kahīñ  tarab  koī