gul  sharm  se  bah  jā.egā  gulshan  meñ  ho  kar  aab  sā
burqe  se  gar  niklā  kahīñ  chehra  tirā  mahtāb  sā
gul-e-barg  kā  ye  rañg  hai  marjāñ  kā  aisā  Dhañg  hai
dekho  na  jhumke  hai  paḌā  vo  hoñT  la.al-e-nāb  sā
vo  māya-e-jāñ  to  kahīñ  paidā  nahīñ  joñ  kīmiyā
maiñ  shauq  kī  ifrāt  se  betāb  huuñ  sīmāb  sā
dil  taab  hī  laayā  na  Tuk  tā  yaad  rahtā  ham-nashīñ
ab  aish  roz-e-vasl  kā  hai  jī  meñ  bhūlā  ḳhvāb  sā
sanñāhaTe  meñ  jaan  ke  hosh-o-havās-o-dam  na  thā
asbāb  saarā  le  gayā  aayā  thā  ik  sailāb  sā
ham  sar-kashī  se  muddatoñ  masjid  se  bach  bach  kar  chale
ab  sajde  hī  meñ  guzre  hai  qad  jo  huā  mehrāb  sā
thī  ishq  kī  vo  ibtidā  jo  mauj  sī  uTThī  kabhū
ab  dīda-e-tar  ko  jo  tum  dekho  to  hai  girdāb  sā
bahke  jo  ham  mast  aa  ga.e  sau  baar  masjid  se  uThā
vaa.iz  ko  maare  ḳhauf  ke  kal  lag  gayā  jullāb  sā
rakh  haath  dil  par  'mīr'  ke  daryāft  kar  kyā  haal  hai
rahtā  hai  aksar  ye  javāñ  kuchh  in  dinoñ  betāb  sā