raat  se  aañsū  mirī  āñkhoñ  meñ  phir  aane  lagā
yak  ramaq  jī  thā  badan  meñ  so  bhī  ghabrāne  lagā
vo  laḌakpan  se  nikal  kar  teġh  chamkāne  lagā
ḳhuun  karne  kā  ḳhayāl  ab  kuchh  use  aane  lagā
la.al-e-jāñ-baḳhsh  us  ke  the  poshīda  juuñ  āb-e-hayāt
ab  to  koī  koī  in  hoñThoñ  pe  mar  jaane  lagā
haif  maiñ  us  ke  suḳhan  par  Tuk  na  rakkhā  gosh  ko
yuuñ  to  nāseh  ne  kahā  thā  dil  na  dīvāne  lagā
habs-e-dam  ke  mo'taqid  tum  hoge  shaiḳh-e-shahr  ke
ye  to  albatta  ki  sun  kar  la.an  dam  khāne  lagā
garm  milnā  us  gul-e-nāzuk-tabī.at  se  na  ho
chāñdnī  meñ  raat  baiThā  thā  sau  murjhāne  lagā
āshiqoñ  kī  pā.emālī  meñ  use  isrār  hai
ya.anī  vo  mahshar-ḳhirām  ab  paañv  phailāne  lagā
chashmak  us  mah  kī  sī  dilkash  diid  meñ  aa.ī  nahīñ
go  sitāra  subah  kā  bhī  aañkh  jhapkāne  lagā
kyūñkar  us  ā.īna-rū  se  'mīr'  maliye  be-hijāb
vo  to  apne  aks  se  bhī  dekho  sharmāne  lagā