be-yār  shahr  dil  kā  vīrān  ho  rahā  hai
dikhlā.ī  de  jahāñ  tak  maidān  ho  rahā  hai
is  manzil-e-jahāñ  ke  bāshinde  raftanī  haiñ
har  ik  ke  haañ  safar  kā  sāmān  ho  rahā  hai
achchhā  lagā  hai  shāyad  āñkhoñ  meñ  yaar  apnī
ā.īna  dekh  kar  kuchh  hairān  ho  rahā  hai
gul  dekh  kar  chaman  meñ  tujh  ko  khilā  hī  jā  hai
ya.anī  hazār  jī  se  qurbān  ho  rahā  hai
hāl-e-zabūn  apnā  poshīda  kuchh  na  thā  to
suntā  na  thā  ki  ye  said  be-jān  ho  rahā  hai
zālim  idhar  kī  sudh  le  juuñ  sham-e-sub.h-gāhī
ek  aadh  dam  kā  āshiq  mehmān  ho  rahā  hai
qurbāñ-gah-e-mohabbat  vo  jā  hai  jis  meñ  har  sū
dushvār  jaan  denā  āsān  ho  rahā  hai
har  shab  galī  meñ  us  kī  rote  to  rahte  ho  tum
ik  roz  'mīr'  sāhab  tūfān  ho  rahā  hai