ḳhush-qadāñ  jab  savār  hote  haiñ
sarv-o-qumrī  shikār  hote  haiñ
tere  bāloñ  ke  vasf  meñ  mere
sher  sab  pechdār  hote  haiñ
aao  yād-e-butāñ  pa  bhuul  na  jaao
ye  taġhāful-shi.ār  hote  haiñ
dekh  leveñge  ġhair  ko  tujh  paas
sohbatoñ  meñ  bhī  yaar  hote  haiñ
sadqe  ho  leveñ  ek-dam  tere
phir  to  tujh  par  nisār  hote  haiñ
tū  kare  hai  qarār  milne  kā
ham  abhī  be-qarār  hote  haiñ
haf-iqlīm  har  galī  hai  kahīñ
dillī  se  bhī  dayār  hote  haiñ
rafta  rafta  ye  tifl-e-ḳhush-zāhir
fitna-e-rozgār  hote  haiñ
us  ke  nazdīk  kuchh  nahīñ  izzat
'mīr'-jī  yuuñ  hī  ḳhvār  hote  haiñ