misāl-e-sāya  mohabbat  meñ  jaal  apnā  huuñ
tumhāre  saath  giraftār-e-hāl  apnā  huuñ
sarishk-e-surḳh  ko  jaatā  huuñ  jo  piye  har-dam
lahū  kā  pyāsā  alal-ittisāl  apnā  huuñ
agarche  nashsha  huuñ  sab  meñ  ḳhum-e-jahāñ  meñ  lek
ba-rañg-e-mai  araq-e-infi.āl  apnā  huuñ
mirī  numūd  ne  mujh  ko  kiyā  barābar  ḳhaak
maiñ  naqsh-e-pā  kī  tarah  pā.emāl  apnā  huuñ
huī  hai  zindagī  dushvār  mushkil  āsāñ  kar
phirūñ  chalūñ  to  huuñ  par  maiñ  vabāl  apnā  huuñ
tirā  hai  vahm  ki  ye  nā-tavāñ  hai  jaame  meñ
vagarna  maiñ  nahīñ  ab  ik  ḳhayāl  apnā  huuñ
balā  huī  hai  mirī  go  kā  tab-e-raushan  'mīr'
huuñ  āftāb  va-lekin  zavāl  apnā  huuñ