ab  jo  ik  hasrat-e-javānī  hai
umr-e-rafta  kī  ye  nishānī  hai
rashk-e-yūsuf  hai  aah  vaqt-e-azīz
umr  ik  bār-e-kārvānī  hai
girya  har  vaqt  kā  nahīñ  be-hech
dil  meñ  koī  ġham-e-nihānī  hai
ham  qafas-zād  qaidī  haiñ  varna
tā  chaman  ek  par-fishānī  hai
us  kī  shamshīr  tez  hai  hamdam
mar  raheñge  jo  zindagānī  hai
ġham-o-rañj-o-alam  niko  yaañ  se
sab  tumhārī  hī  mehrbānī  hai
ḳhaak  thī  maujzan  jahāñ  meñ  aur
ham  ko  dhokā  ye  thā  ki  paanī  hai
yaañ  hue  'mīr'  tum  barābar  ḳhaak
vaañ  vahī  naaz  o  sargirānī  hai