chhuTtā  hī  nahīñ  ho  jise  āzār-e-mohabbat
māyūs  huuñ  maiñ  bhī  ki  huuñ  bīmār-e-mohabbat
imkāñ  nahīñ  jīte-jī  ho  is  qaid  se  āzād
mar  jaa.e  tabhī  chhūTe  giraftār-e-mohabbat
taqsīr  na  ḳhūbāñ  kī  na  jallād  kā  kuchh  jurm
thā  dushman-e-jānī  mirā  iqrār-e-mohabbat
har  jins  ke  ḳhvāhāñ  mile  bāzār-e-jahāñ  meñ
lekin  na  milā  koī  ḳharīdār-e-mohabbat
is  raaz  ko  rakh  jī  hī  meñ  tā  jī  bache  terā
zinhār  jo  kartā  ho  tū  iz.hār-e-mohabbat
har  naqsh-e-qadam  par  tire  sar  beche  haiñ  āshiq
Tuk  sair  to  kar  aaj  tū  bāzār-e-mohabbat
kuchh  mast  haiñ  ham  dīda-e-pur-ḳhūn-e-jigar  se
aayā  yahī  hai  sāġhar-e-sarshār-e-mohabbat
bekār  na  rah  ishq  meñ  tū  rone  se  hargiz
ye  girya  hī  hai  āb-e-ruḳh-e-kār-e-mohabbat
mujh  sā  hī  ho  majnūñ  bhī  ye  kab  maane  hai  aaqil
har  sar  nahīñ  ai  'mīr'  sazā-vār-e-mohabbat