mash.hūr  chaman  meñ  tirī  gul  pairahanī  hai
qurbāñ  tire  har  uzv  pe  nāzuk-badanī  hai
uryānī-e-āshufta  kahāñ  jaa.e  pas-az-marg
kushta  hai  tirā  aur  yahī  be-kafnī  hai
samjhe  hai  na  parvāna  na  thāme  hai  zabāñ  sham.a
vo  soḳhtanī  hai  to  ye  gardan-zadanī  hai
letā  hī  nikaltā  hai  mirā  laḳht-e-jigar  ashk
aañsū  nahīñ  goyā  ki  ye  hiire  kī  kanī  hai
bulbul  kī  kaf-e-ḳhāk  bhī  ab  hogī  pareshāñ
jaame  kā  tire  rañg  sitamgar  chimanī  hai
kuchh  to  ubhar  ai  sūrat-e-shīrīñ  ki  dikhā.ūñ
farhād  ke  zimme  bhī  ajab  koh-kanī  hai
hoñ  garm-e-safar  shām-e-ġharībāñ  se  ḳhushī  hoñ
ai  sub.h-e-vatan  tū  to  mujhe  be-vatanī  hai
har-chand  gadā  huuñ  maiñ  tire  ishq  meñ  lekin
in  bul-havasoñ  meñ  koī  mujh  sā  bhī  ġhanī  hai
har  ashk  mirā  hai  dur-e-shahvār  se  behtar
har  laḳht-e-jigar  rashk-e-aqīq-e-yamanī  hai
bigḌī  hai  nipaT  'mīr'  tapish  aur  jigar  meñ
shāyad  ki  mire  jī  hī  par  ab  aan  banī  hai