chorī  meñ  dil  kī  vo  hunar  kar  gayā
dekhte  hī  āñkhoñ  meñ  ghar  kar  gayā
dahr  meñ  maiñ  ḳhāk-basar  hī  rahā
umr  ko  is  taur  basar  kar  gayā
dil  nahīñ  hai  manzil-e-sīna  meñ  ab
yaañ  se  vo  bechāra  safar  kar  gayā
haif  jo  vo  nusḳha-e-dil  ke  upar
sarsarī  sī  ek  nazar  kar  gayā
kis  ko  mire  haal  se  thī  āgahī
nāla-e-shab  sab  ko  ḳhabar  kar  gayā
go  na  chalā  tā-mizha-e-tīr-e-nigah
apne  jigar  se  tū  guzar  kar  gayā
majlis-e-āfāq  meñ  parvāna  saañ
'mīr'  bhī  shaam  apnī  sahar  kar  gayā