ḳharābī  kuchh  na  pūchho  mulkat-e-dil  kī  imārat  kī
ġhamoñ  ne  āj-kal  suniyo  vo  ābādī  hī  ġhārat  kī
nigāh-e-mast  se  jab  chashm  ne  is  kī  ishārat  kī
halāvat  mai  kī  aur  buniyād  maiḳhāne  kī  ġhārat  kī
sahar-gah  maiñ  ne  pūchhā  gul  se  hāl-e-zār  bulbul  kā
paḌe  the  baaġh  meñ  yak-musht  par  ūdhar  ishārat  kī
jalāyā  jis  tajallī-e-jalva-gar  ne  tuur  ko  ham-dam
usī  ātish  ke  par  kaale  ne  ham  se  bhī  sharārat  kī
nazākat  kyā  kahūñ  ḳhurshīd-rū  kī  kal  shab-e-mah  meñ
gayā  thā  saa.e  saa.e  baaġh  tak  tis  par  harārat  kī
nazar  se  jis  kī  yūsuf  sā  gayā  phir  us  ko  kyā  sūjhe
haqīqat  kuchh  na  pūchho  pīr-e-kan.āñ  kī  basārat  kī
tire  kūche  ke  shauq-e-tauf  meñ  jaise  bagūlā  thā
bayābāñ  maiñ  ġhubār  'mīr'  kī  ham  ne  ziyārat  kī