chaak  par  chaak  huā  juuñ  juuñ  sulāyā  ham  ne
is  garebāñ  hī  se  ab  haath  uThāyā  ham  ne
hasrat-e-lutf-e-azīzān-e-chaman  jī  meñ  rahī
sar  pe  dekhā  na  gul-o-sarva  kā  saaya  ham  ne
jī  meñ  thā  arsh  pe  jā  bāñdhiye  takiya  lekin
bistara  ḳhaak  hī  meñ  ab  to  bichhāyā  ham  ne
ba.ad  yak  umr  kahīñ  tum  ko  jo  tanhā  paayā
Darte  Darte  hī  kuchh  ahvāl  sunāyā  ham  ne
yaañ  faqat  reḳhta  hī  kahne  na  aa.e  the  ham
chaar  din  ye  bhī  tamāshā  sā  dikhāyā  ham  ne
baare  kal  baaġh  meñ  jā  murġh-e-chaman  se  mil  kar
ḳhūbī-e-gul  kā  maza  ḳhuub  uḌāyā  ham  ne
tāzgī  daaġh  kī  har  shaam  ko  be-hech  nahīñ
aah  kyā  jaane  diyā  kis  kā  bujhāyā  ham  ne
dasht-o-kohsār  meñ  sar  maar  ke  chande  tujh  bin
qais-o-farhād  ko  phir  yaad  dilāyā  ham  ne
bekalī  se  dil-e-betāb  kī  mar  guzre  the
so  tah-e-ḳhāk  bhī  ārām  na  paayā  ham  ne
ye  sitam  taaza  huā  aur  ki  pā.īz  meñ  'mīr'
dil  ḳhas-o-ḳhār  se  nā-chār  lagāyā  ham  ne