kyā  kaheñ  ātish-e-hijrāñ  se  gale  jaate  haiñ
chhātiyāñ  sulgeñ  haiñ  aisī  ki  jale  jaate  haiñ
gauhar-e-gosh  kisū  kā  nahīñ  jī  se  jaatā
aañsū  motī  se  mire  muñh  pe  Dhale  jaate  haiñ
yahī  masdūd  hai  kuchh  rāh-e-vafā  varna  baham
sab  kahīñ  naama  o  paiġhām  chale  jaate  haiñ
bār-e-hirmān-o-gul-o-dāġh  nahīñ  apne  saath
shajar-e-bāġh-e-vafā  phūle  phale  jaate  haiñ
hairat-e-ishq  meñ  tasvīr  se  rafta  hī  rahe
aise  jaate  haiñ  jo  ham  bhī  to  bhale  jaate  haiñ
hijr  kī  koft  jo  khīñche  haiñ  unhīñ  se  pūchho
dil  diye  jaate  haiñ  jī  apne  male  jaate  haiñ
yād-e-qad  meñ  tire  āñkhoñ  se  baheñ  haiñ  jueñ
gar  kisū  baaġh  meñ  ham  sarv  tale  jaate  haiñ
dekheñ  pesh  aave  hai  kyā  ishq  meñ  ab  to  juuñ  sail
ham  bhī  is  raah  meñ  sar  gaaḌe  chale  jaate  haiñ
pur-ġhubāri-e-jahāñ  se  nahīñ  sudh  'mīr'  hameñ
gard  itnī  hai  ki  miTTī  meñ  rule  jaate  haiñ