shash-jihat  se  is  meñ  zālim  bū-e-ḳhūñ  kī  raah  hai
terā  kūcha  ham  se  tū  kah  kis  kī  bismil-gāh  hai
ek  nibhne  kā  nahīñ  mizhgāñ  talak  bojhal  haiñ  sab
kārvāñ  laḳht-e-dil-e-har-ashk  ke  hamrāh  hai
ham  javānoñ  ko  na  chhoḌā  us  se  sab  pakḌe  ga.e
ye  do-sāla  duḳhtar-e-raz  kis  qadar  shattāh  hai
pā-barahna  ḳhaak  sar  meñ  mū  pareshāñ  siina  chaak
haal  merā  dekhne  aa  tere  hī  dil-ḳhvāh  hai
is  junūñ  par  'mīr'  koī  bhī  phire  hai  shahr  meñ
jāda-e-sahrā  se  kar  sāzish  jo  tujh  se  raah  hai