dil  jo  zer-e-ġhubār  aksar  thā
kuchh  mizāj  in  dinoñ  mukaddar  thā
is  pe  takiya  kiyā  to  thā  lekin
rāt-din  ham  the  aur  bistar  thā
sarsarī  tum  jahāñ  se  guzre
varna  har  jā  jahān-e-dīgar  thā
dil  kī  kuchh  qadar  karte  rahiyo  tum
ye  hamārā  bhī  nāz-parvar  thā
ba.ad  yak  umr  jo  huā  ma.alūm
dil  us  ā.īna-rū  kā  patthar  thā
baare  sajda  adā  kiyā  tah-e-teġh
kab  se  ye  bojh  mere  sar  par  thā
kyuuñ  na  abr-e-siyah  safed  havā
jab  talak  ahd-e-dīda-e-tar  thā
ab  ḳharāba  huā  jahānābād
varna  har  ik  qadam  pe  yaañ  ghar  thā
be-zarī  kā  na  kar  gilā  ġhāfil
rah  tasallī  ki  yuuñ  muqaddar  thā
itne  mun.im  jahān  meñ  guzre
vaqt  rehlat  ke  kis  kane  zar  thā
sāhib-e-jāh-o-shakat-o-iqbāl
ik  azaañ  jumla  ab  sikandar  thā
thī  ye  sab  kā.enāt  zer-e-nagīñ
saath  mor-o-malaḳh  sā  lashkar  thā
la.al-o-yāqūt  ham  zar-o-gauhar
chāhiye  jis  qadar  mayassar  thā
āḳhir-e-kār  jab  jahāñ  se  gayā
haath  ḳhālī  kafan  se  bāhar  thā
aib  tūl-e-kalām  mat  kariyo
kyā  karūñ  maiñ  suḳhan  se  ḳhūgar  thā
ḳhush  rahā  jab  talak  rahā  jiitā
'mīr'  ma.alūm  hai  qalandar  thā