maiñ  kaun  huuñ  ai  ham-nafasāñ  soḳhta-jāñ  huuñ
ik  aag  mire  dil  meñ  hai  jo  shoa.la-fishāñ  huuñ
laayā  hai  mirā  shauq  mujhe  parde  se  bāhar
maiñ  varna  vahī  ḳhalvatī-e-rāz-e-nihāñ  huuñ
jalva  hai  mujhī  se  lab-e-dariyā-e-suḳhan  par
sad-rañg  mirī  mauj  hai  maiñ  tab-e-ravāñ  huuñ
panja  hai  mirā  panja-e-ḳhurshīd  maiñ  har  sub.h
maiñ  shāna-sifat  sāya-e-rū  zulf-e-butāñ  huuñ
dekhā  hai  mujhe  jin  ne  so  dīvāna  hai  merā
maiñ  bā.is-e-āshuftagī-e-tab-e-jahāñ  huuñ
taklīf  na  kar  aah  mujhe  jumbish-e-lab  kī
maiñ  sad  suḳhan-āġhushta-ba-ḳhūñ  zer-e-zabāñ  huuñ
huuñ  zard  ġham-e-tāza-nihālān-e-chaman  se
us  bāġh-e-ḳhizāñ-dīda  meñ  maiñ  barg-e-ḳhizāñ  huuñ
rakhtī  hai  mujhe  ḳhvāhish-e-dil  bas-ki  pareshāñ
darpai  na  ho  is  vaqt  ḳhudā  jaane  kahāñ  huuñ
ik  vahm  nahīñ  besh  mirī  hasti-e-mauhūm
us  par  bhī  tirī  ḳhātir-e-nāzuk  pe  garāñ  huuñ
ḳhush-bāshī-o-tanzīya-o-taqaddus  the  mujhe  'mīr'
asbāb  paḌe  yuuñ  ki  ka.ī  roz  se  yaañ  huuñ