kyā  laḌke  dillī  ke  haiñ  ayyār  aur  naT-khaT
dil  leñ  haiñ  yuuñ  ki  hargiz  hotī  nahīñ  hai  aahaT
ham  āshiqoñ  ko  marte  kyā  der  kuchh  lage  hai
chaT  jin  ne  dil  pe  khaa.ī  vo  ho  gayā  hai  chaT-paT
dil  hai  jidhar  ko  ūdhar  kuchh  aag  sī  lagī  thī
us  pahlū  ham  jo  leTe  jal  jal  ga.ī  hai  karvaT
kaliyoñ  ko  tū  ne  chaT  chaT  ai  bāġhbāñ  jo  toḌā
bulbul  ke  dil  jigar  ko  zālim  lagī  hai  kyā  chaT
jī  hī  haTe  na  merā  to  us  ko  kyā  karūñ  maiñ
har-chand  baiThtā  huuñ  majlis  meñ  us  se  haT  haT
detī  hai  tuul  bulbul  kyā  nāla-o-fuġhāñ  ko
dil  ke  ulajhne  se  haiñ  ye  āshiqoñ  kī  phaT  phaT
murde  na  the  ham  aise  dariyā  pe  jab  thā  takiya
us  ghaaT  gaah  o  begah  rahne  lagā  thā  jamghaT
ruk  ruk  ke  dil  hamārā  be-tāb  kyuuñ  na  hove
kasrat  se  dard-o-ġham  kī  rahtā  hai  us  pe  jhurmuT
shab  'mīr'  se  mile  ham  ik  vahm  rah  gayā  hai
us  ke  ḳhayāl-e-mū  meñ  ab  to  gayā  bahut  laT