ġhairoñ  se  mil  chale  tum  mast-e-sharāb  ho  kar
ġhairat  se  rah  ga.e  ham  yaksū  kabāb  ho  kar
us  rū-e-ātishīñ  se  burqā  sarak  gayā  thā
gul  bah  gayā  chaman  meñ  ḳhajlat  se  aab  ho  kar
kal  raat  muñd  ga.ī  thiiñ  bahutoñ  kī  āñkheñ  ġhash  se
dekhā  kiyā  na  kar  to  sarmast  ḳhvāb  ho  kar
parda  rahegā  kyūñkar  ḳhurshīd-e-ḳhāvarī  kā
nikle  hai  vo  bhī  ab  be-naqāb  ho  kar
yak  qatra  aab  maiñ  ne  is  daur  meñ  piyā  hai
niklā  hai  chashm-e-tar  se  vo  ḳhūn-e-nāb  ho  kar
aa  baiThtā  thā  suufī  har  sub.h  mai-kade  meñ
shukr-e-ḳhudā  ki  niklā  vaañ  se  ḳharāb  ho  kar
sharm-o-hayā  kahāñ  tak  haiñ  'mīr'  koī  din  ke
ab  to  milā  karo  tum  Tuk  be-hijāb  ho  kar