idhar  se  abr  uTh  kar  jo  gayā  hai
hamārī  ḳhaak  par  bhī  ro  gayā  hai
masā.ib  aur  the  par  dil  kā  jaanā
ajab  ik  sāneha  sā  ho  gayā  hai
muqāmir-ḳhāna-e-āfāq  vo  hai
ki  jo  aayā  hai  yaañ  kuchh  kho  gayā  hai
kuchh  aao  zulf  ke  kūche  meñ  darpesh
mizāj  apnā  udhar  ab  to  gayā  hai
sirhāne  'mīr'  ke  koī  na  bolo
abhī  Tuk  rote  rote  so  gayā  hai