rahe  ḳhayāl  tanik  ham  bhī  rū-siyāhoñ  kā
lage  ho  ḳhuun  bahut  karne  be-gunāhoñ  kā
nahīñ  sitāre  ye  sūrāḳh  paḌ  ga.e  haiñ  tamām
falak  harīf  huā  thā  hamārī  aahoñ  kā
galī  meñ  us  kī  phaTe  kapḌoñ  par  mire  mat  jā
libās-e-faqr  hai  vaañ  faḳhr  bādshāhoñ  kā
tamām  zulf  ke  kūche  haiñ  mār-e-pech  us  kī
tujhī  ko  aave  dilā  chalnā  aisī  rāhoñ  kā
usī  jo  ḳhūbī  se  laa.e  tujhe  qayāmat  meñ
to  harf-e-kun  ne  kiyā  gosh  dād-ḳhvāhoñ  kā
tamām-umr  raheñ  ḳhaak  zer-e-pā  us  kī
jo  zor  kuchh  chale  ham  ijz  dast-gāhoñ  kā
kahāñ  se  tah  kareñ  paidā  ye  nāzimān-e-hāl
ki  poch-bāfī  hī  hai  kaam  in  julāhoñ  kā
hisāb  kaahe  kā  roz-e-shumār  meñ  mujh  se
shumār  hī  nahīñ  hai  kuchh  mire  gunāhoñ  kā
tirī  jo  āñkheñ  haiñ  talvār  ke  tale  bhī  idhar
fareb-ḳhurda  hai  tū  'mīr'  kin  nigāhoñ  kā