Meer Taqi Meer

dil mein bhara za-bas-ki KHayal-e-sharab tha

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
dil meñ bharā za-bas-ki ḳhayāl-e-sharāb thā
mānind aa.ine ke mire ghar meñ aab thā
maujeñ kare hai bahr-e-jahāñ meñ abhī to tū
jānegā ba.ad-e-marg ki aalam habāb thā
ugte the dast-e-bulbul-o-dāmān gul baham
sahn-e-chaman namūna-e-yaum-ul-hisāb thā
Tuk dekh āñkheñ khol ke us dam kī hasrateñ
jis dam ye sūjhegī ki ye aalam bhī ḳhvāb thā
dil jo na thā to raat za-ḳhud-raftagī meñ 'mīr'
gah intizār o gaah mujhe iztirāb thā
Top Urdushayar.com