dil  meñ  bharā  za-bas-ki  ḳhayāl-e-sharāb  thā
mānind  aa.ine  ke  mire  ghar  meñ  aab  thā
maujeñ  kare  hai  bahr-e-jahāñ  meñ  abhī  to  tū
jānegā  ba.ad-e-marg  ki  aalam  habāb  thā
ugte  the  dast-e-bulbul-o-dāmān  gul  baham
sahn-e-chaman  namūna-e-yaum-ul-hisāb  thā
Tuk  dekh  āñkheñ  khol  ke  us  dam  kī  hasrateñ
jis  dam  ye  sūjhegī  ki  ye  aalam  bhī  ḳhvāb  thā
dil  jo  na  thā  to  raat  za-ḳhud-raftagī  meñ  'mīr'
gah  intizār  o  gaah  mujhe  iztirāb  thā