ab  'mīr'-jī  to  achchhe  zindīq  hī  ban  baiThe
peshānī  pe  de  qashqa  zunnār  pahan  baiThe
āzurda  dil-e-ulfat  ham  chupke  hī  behtar  haiñ
sab  ro  uThegī  majlis  jo  kar  ke  suḳhan  baiThe
uryān  phireñ  kab  tak  ai  kaash  kahīñ  aa  kar
tā  gard  bayābāñ  kī  bālā-e-badan  baiThe
paikān-e-ḳhadañg  us  kā  yuuñ  siine  ke  ūdhar  hai
joñ  mār-e-siyah  koī  kāḌhe  hue  phan  baiThe
juz  ḳhat  ke  ḳhayāl  us  ke  kuchh  kaam  nahīñ  ham  ko
sabzī  piye  ham  aksar  rahte  haiñ  magan  baiThe
shamshīr-e-sitam  us  kī  ab  go  kā  chale  har-dam
shorīda-sar  apne  se  ham  bāñdh  kafan  baiThe
bas  ho  to  idhar-ūdhar  yuuñ  phirne  na  deñ  tujh  ko
nā-chār  tire  ham  ye  dekheñ  haiñ  chalan  baiThe