Meer Taqi Meer

main bhi duniya mein hun ek nala-pareshan yak ja

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810

maiñ bhī duniyā meñ huuñ ik nāla-pareshāñ yak

dil ke sau TukḌe mire par sabhī nālāñ yak

pand-goyoñ ne bahut siine tadbīreñ liiñ

aah sābit bhī na niklā ye garebāñ yak

terā kūcha hai sitamgār vo kāfir jāgah

ki jahāñ maare ga.e kitne musalmāñ yak

sar se bāñdhā hai kafan ishq meñ tere ya.anī

jam.a ham ne bhī kiyā hai sar-o-sāmāñ yak

kyūñke paḌte haiñ tire paañv nasīm-e-saharī

us ke kūche meñ hai sad ganj-e-shahīdāñ yak

bhī rone ko milā dil hai hamārā bhī bharā

hoje ai abr bayābān meñ giryāñ yak

baiTh kar 'mīr' jahāñ ḳhuub na royā hove

aisī kūche meñ nahīñ hai tire jānāñ yak

Top Urdushayar.com