ba-rañg-e-bū-e-gul  us  baaġh  ke  ham  āshnā  hote
ki  hamrāh-e-sabā  Tuk  sair  karte  phir  havā  hote
sarāpā  aarzū  hone  ne  banda  kar  diyā  ham  ko
vagarna  ham  ḳhudā  the  gar  dil-e-be-mudda.ā  hote
falak  ai  kaash  ham  ko  ḳhaak  hī  rakhtā  ki  is  meñ  ham
ġhubār-e-rāh  hote  yā  kasū  kī  ḳhāk-e-pā  hote
ilāhī  kaise  hote  haiñ  jinheñ  hai  bandagī  ḳhvāhish
hameñ  to  sharm  dāman-gīr  hotī  hai  ḳhudā  hote
tū  hai  kis  nāhiye  se  ai  dayār-e-ishq  kyā  jānūñ
tire  bāshindagāñ  ham  kaash  saare  bevafā  hote
ab  aise  haiñ  ki  sāne.a  ke  mizāj  uupar  baham  pahuñche
jo  ḳhātir-ḳhvāh  apne  ham  hue  hote  to  kyā  hote
kahīñ  jo  kuchh  malāmat  gar  bajā  hai  'mīr'  kyā  jāneñ
unheñ  ma.alūm  tab  hotā  ki  vaise  se  judā  hote