chalte  ho  to  chaman  ko  chaliye  kahte  haiñ  ki  bahārāñ  hai
paat  hare  haiñ  phuul  khile  haiñ  kam  kam  bād-o-bārāñ  hai
rañg  havā  se  yuuñ  Tapke  hai  jaise  sharāb  chuvāte  haiñ
aage  ho  mai-ḳhāne  ke  niklo  ahd-e-bāda-gusārāñ  hai
ishq  ke  maidāñ-dāroñ  meñ  bhī  marne  kā  hai  vasf  bahut
ya.anī  musībat  aisī  uThānā  kār-e-kār-guzārāñ  hai
dil  hai  daaġh  jigar  hai  TukḌe  aañsū  saare  ḳhuun  hue
lohū  paanī  ek  kare  ye  ishq-e-lāla-azārāñ  hai
kohkan  o  majnūñ  kī  ḳhātir  dasht-o-koh  meñ  ham  na  ga.e
ishq  meñ  ham  ko  'mīr'  nihāyat  pās-e-izzat-dārāñ  hai