jīte-jī  kūcha-e-dildār  se  jaayā  na  gayā
us  kī  dīvār  kā  sar  se  mire  saaya  na  gayā
kāv-kāve  mizha-e-yār  o  dil-e-zār-o-nazār
guth  ga.e  aise  shitābī  ki  chhuḌāyā  na  gayā
vo  to  kal  der  talak  dekhtā  īdhar  ko  rahā
ham  se  hī  hāl-e-tabāh  apnā  dikhāyā  na  gayā
garm-rau  rāh-e-fanā  kā  nahīñ  ho  saktā  patañg
us  se  to  sham.a-namat  sar  bhī  kaTāyā  na  gayā
pās-e-nāmūs-e-mohabbat  thā  ki  farhād  ke  paas
be-sutūñ  sāmne  se  apne  uThāyā  na  gayā
ḳhaak  tak  kūcha-e-dildār  kī  chhānī  ham  ne
justujū  kī  pe  dil-e-gum-shuda  paayā  na  gayā
ātish-e-tez  judā.ī  meñ  yakāyak  us  bin
dil  jalā  yuuñ  ki  tanik  jī  bhī  jalāyā  na  gayā
mah  ne  aa  sāmne  shab  yaad  dilāyā  thā  use
phir  vo  tā  sub.h  mire  jī  se  bhulāyā  na  gayā
zer-e-shamshīr-e-sitam  'mīr'  taḌapnā  kaisā
sar  bhī  taslīm-e-mohabbat  meñ  hilāyā  na  gayā
jī  meñ  aatā  hai  ki  kuchh  aur  bhī  mauzūñ  kiije
dard-e-dil  ek  ġhazal  meñ  to  sunāyā  na  gayā