ashk  āñkhoñ  meñ  kab  nahīñ  aatā
lohū  aatā  hai  jab  nahīñ  aatā
hosh  jaatā  nahīñ  rahā  lekin
jab  vo  aatā  hai  tab  nahīñ  aatā
sabr  thā  ek  monis-e-hijrāñ
so  vo  muddat  se  ab  nahīñ  aatā
dil  se  ruḳhsat  huī  koī  ḳhvāhish
girya  kuchh  be-sabab  nahīñ  aatā
ishq  ko  hausla  hai  shart  arna
baat  kā  kis  ko  Dhab  nahīñ  aatā
jī  meñ  kyā  kyā  hai  apne  ai  hamdam
par  suḳhan  tā-ba-lab  nahīñ  aatā
duur  baiThā  ġhubār-e-'mīr'  us  se
ishq  bin  ye  adab  nahīñ  aatā