na  phir  rakkheñge  terī  rah  meñ  pā  ham
ga.e-guzre  haiñ  āḳhir  aise  kyā  ham
ḳhiñchegī  kab  vo  teġh-e-nāz  yārab
rahe  haiñ  der  se  sar  ko  jhukā  ham
na  jaanā  ye  ki  kahte  haiñ  kise  pyaar
raheñ  be-lutfiyāñ  hī  yaañ  to  bāham
bane  kyā  ḳhāl-o-zulf-o-ḳhat  se  dekheñ
hue  haiñ  kitne  ye  kāfir  farāham
maraz  hī  ishq  kā  be-Dol  hai  kuchh
bahut  karte  haiñ  apnī  sī  davā  ham
kahīñ  paivand  huuñ  yārab  zamīñ  ke
phireñge  us  se  yuuñ  kab  tak  judā  ham
havas  thī  ishq  karne  meñ  va-lekin
bahut  nādim  hue  dil  ko  lagā  ham
kab  aage  koī  martā  thā  kisī  par
jahāñ  meñ  kar  ga.e  rasm-e-vafā  ham
ta.āruf  kyā  rahā  ahl-e-chaman  se
hue  ik  umr  ke  pīchhe  rihā  ham
muā  jis  ke  liye  us  ko  na  dekhā
na  samjhe  'mīr'  kā  kuchh  mudda.ā  ham