Meer Taqi Meer

shab shama par patang ke aane ko ishq hai

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810

shab sham.a par patañg ke aane ko ishq hai

us dil-jale ke taab ke laane ko ishq hai

sar maar maar sañg se mardāna diyā

farhād ke jahān se jaane ko ishq hai

uThiyo samajh ke se ki mānind-e-gard-bād

āvārgī se terī zamāne ko ishq hai

bas ai sip.har sa.ī se terī to roz-o-shab

yaañ ġham satāne ko hai jalāne ko ishq hai

baiThī jo teġh-e-yār to sab tujh ko khā ga.ī

ai siine tere zaḳhm uThāne ko ishq hai

ik dam meñ ne phūñk diyā do-jahāñ ke tiiñ

ai ishq tere aag lagāne ko ishq hai

saudā ho tab ho 'mīr' ko to kariye kuchh ilaaj

us tere dekhne ke divāne ko ishq hai

Top Urdushayar.com