muñh  takā  hī  kare  hai  jis  tis  kā
hairatī  hai  ye  ā.īna  kis  kā
shaam  se  kuchh  bujhā  sā  rahtā  huuñ
dil  huā  hai  charāġh  muflis  kā
the  bure  muġhbachoñ  ke  tevar  lek
shaiḳh  mai-ḳhāne  se  bhalā  khiskā
daaġh  āñkhoñ  se  khil  rahe  haiñ  sab
haath  dasta  huā  hai  nargis  kā
bahr  kam-zarf  hai  basān-e-habāb
kāsa-lais  ab  huā  hai  tū  jis  kā
faiz  ai  abr  chashm-e-tar  se  uThā
aaj  dāman  vasī.a  hai  is  kā
taab  kis  ko  jo  hāl-e-'mīr'  sune
haal  hī  aur  kuchh  hai  majlis  kā