garm  haiñ  shor  se  tujh  husn  ke  bāzār  ka.ī
rashk  se  jalte  haiñ  yūsuf  ke  ḳharīdār  ka.ī
kab  talak  daaġh  dikhāvegī  asīrī  mujh  ko
mar  ga.e  saath  ke  mere  to  giraftār  ka.ī
ve  hī  chālākiyāñ  hāthoñ  kī  haiñ  jo  avval  thiiñ
ab  garebāñ  meñ  mire  rah  ga.e  haiñ  taar  ka.ī
ḳhauf-e-tanhā.ī  nahīñ  kar  tū  jahāñ  se  to  safar
har  jagah  rāh-e-adam  meñ  mileñge  yaar  ka.ī
iztirāb-o-qilq-o-zo.af  meñ  kis  taur  jiyūñ
jaan  vāhid  hai  mirī  aur  haiñ  āzār  ka.ī
kyuuñ  na  huuñ  ḳhasta  bhalā  maiñ  ki  sitam  ke  tere
tiir  haiñ  paar  ka.ī  vaar  haiñ  sofār  ka.ī
apne  kūche  meñ  nikaliyo  to  sambhāle  dāman
yādgār-e-mizha-e-'mīr'  haiñ  vaañ  ḳhaar  ka.ī