ye  chashm  ā.īna-dār-e-rū  thī  kasū  kī
nazar  us  taraf  bhī  kabhū  thī  kasū  kī
sahar  pā-e-gul  be-ḳhudī  ham  ko  aa.ī
ki  us  sust  paimāñ  meñ  bū  thī  kasū  kī
ye  sar-gashta  jab  tak  rahā  is  chaman  meñ
ba-rañg-e-sabā  justujū  thī  kasū  kī
na  Thahrī  Tuk  ik  jaan  bar-lab  rasīda
hameñ  mudda.ā  guftugū  thī  kasū  kī
jalāyā  shab  ik  sho.ala-e-dil  ne  ham  ko
ki  us  tund  sarkash  meñ  ḳhū  thī  kasū  kī
na  the  tujh  se  nāzuk  mayānā-e-gulshan
bahut  to  kamar  jaise  mū  thī  kasū  kī
dam-e-marg  dushvār  dī  jaan  in  ne
magar  'mīr'  ko  aarzū  thī  kasū  kī