Meer Taqi Meer

jis jagah daur-e-jam hota hai

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
jis jagah daur-e-jām hotā hai
vaañ ye aajiz mudām hotā hai
ham to ik harf ke nahīñ mamnūn
kaisā ḳhatt-o-payām hotā hai
teġh nākāmoñ pe na har dam khīñch
ik karishme meñ kaam hotā hai
pūchh mat aah āshiqoñ kī ma.āsh
roz un kā bhī shaam hotā hai
zaḳhm bin ġham bin aur ġhussa bin
apnā khānā harām hotā hai
shaiḳh kī sī hī shakl hai shaitān
jis pe shab ahtelām hotā hai
qatl ko maiñ kahā to uTh bolā
aaj kal sub.h-o-shām hotā hai
āḳhir ā.ūñgā na.ash par ab aah
ki ye āshiq tamām hotā hai
'mīr' sāhab bhī us ke haañ the par
jaise koī ġhulām hotā hai
Top Urdushayar.com